kisi bhi (any) website ko kaise block kare bina kisi bhi software ke step by step (in windows xp,7,8)
aaj me apko bataunga sabse simple tarika jiski help se ap kisi website ko block kar sakte hai apne computer ya laptop par wo bhi bina kisi bhi software ke. website ko block karne ke liye apko sabse pahle apne antivirus ko disable krna hoga kyuki kafi antivirus "HOSTS" file me changes karne se rokte hai. isliye apko sabse pahle apne antivirus ko disable kr de fir ye steps follow kare
STEP 1
find notepad in your pc or laptop
ap notepad ko ap apne pc me Accessories categories me find kar sakte hai, START BUTTON par click kare fir ALL PROGRAMS par fir ACCESSORIES par ap is categories me notepad ko dekh hai
ALSO READ: HOW TO INCREASE INTERNET SPEED WITHOUT SOFTWARE
STEP 2
Run notepad "as administrator"
Notepad ko as a administrator run kare ke liye Right click kare notepad par and select "Run as administrator" aur left click on run as administrator, fir apke samne ek popup window aayegi usme "yes" par click kare
NOTE:- agar ap notepad ko "run as administrator" run nhi karoge to apke duara kiye gaye changes hosts mein save nhi honge aur apki website block nhi hogi, Isliye apko ye dhyan rakhna hai ki apne notepad ko "run as administrator" hi run kiya hai
YOU MUST READ: A MOTIVATIONAL STORY
STEP 3
ab apke samne notepad open ho gaya hai, notepad ke top par jo menu diye hai usme se "FILE" menu par click kare aur fir "open" par click kare
STEP 4
"open" par click karne ke bad apke samne ek new window open (khulegi) hogi jo is tarah dekhegi,
1. computer ( or this pc in window 8,8.1) par click kare
2. c drive par double click kare
fir windows par double click fir system32 par double click kare fir drivers par double click kare fir etc par double click kare aur ap is path ko apne run ( press window key+R for open run) me paste karke bhi direct etc par pahuch sakte hai
C:\Windows\System32\drivers\etc
STEP 5
select "all files"
ab apke samne jo window open hogi usme apko kuch nhi dikhega, "hosts" ko dekhne ke liye apko extention change krna hoga (*.txt) se (all files) jaisa ap screenshot me dekh rahe hai
STEP 6
hosts par double click kare
"hosts" par double click karne ke bad apke sanme kuch is tarah ki window open hogi,
apko jo bhi website block karni hai usko block karne liye apko 127.0.0.1 ke bad space de aur us website ka address type (without https://) kar de jisko apko block krna chahate hai aur aap kitni bhi website block kar sakte hai bas apko karna ye hai ki apko 127.0.0.1 ke bad space de aur us website ka address type kr de.
jaisa ap dekh rhe hai maine facebook ko block kiya hai, facebook ki website ko hum do tarah se open kar sakte hai
1. www.facebook.com
2. www.fb.com
fb.com facebook website ka loop hole hai, isliye apko fb block karne ke liye fb.com ko bhi block krna hoga
note:- ek line me only ek hi website ka address type karna hai apko aur agar ap dusri website block karna chahate ho to apko ek line ke enter key press kare aur 127.0.0.1 ke bad space de fir dusri website ka address type kr de
Example:- for block fb...
127.0.0.1 www.facebook.com
127.0.0.1 www.fb.com
me is website par technology ke bare mein hindi mein likhta hu jasse india me jyada se jyda people mere article pad sake aur age bad sake,
thanks
No comments:
Post a Comment